Islam main Khawateen ka apna maqaam o martaba hai. Karobaar e Hayaat ki boht se responsibilities auraton kay hawalay ki gaye hain. Rasool e Paak S.A.W makhsoos taur per inhain apni taleemaat say nawaztay rahay hain. Hijjatul Widaa kay moqa per Arafaat kay khutba main Aap S.A.W nay khwateen kay sath husn e salook ki talqeen fermaaye hai.
In tamaam amoor say pata chalta hai keh her zamanay main Khawateen lazmi tawajjo ki mustahiq hain, Khasoosan mojooda daur main jahan Muslim Khawateen say unki izzat o namoos ko sulb kernay aur unko apnay maqam o mertaba say giraanay kay liye makhsoos tareeqa say in per yalghaar ki ja rahi hai aur inko nishana bnaya ja raha hai. Isi liye inko khatraat say agaah kerna aur in kay liye raah e nijjat ki nishan dahi kkerna nahayat zaroori hai.